Jis taraf chashm-e-Muhammad ke ishare ho gaye Jitne zarre samne aaye sitare ho gaye
Jab kabhi ishq-e-Muhammad ki inayat ho gayi Mere aansu Kausar-o-Zam Zam ke dhare ho gaye
Mauja-e-toofan mein jab naam-e-Muhammad le liya Doobti kashti ke tinke hi sahare ho gaye
Ya Muhammad aap ki nazron ka yeh ijaz hai Jis taraf nazrein uthayein woh sab tumhare ho gaye
Main hoon aur yaad-e-Madinah aur hain tanhaiyan Apne begane sabhi mujh se kinare ho gaye
Apni kamli ka zara saya inayat ho mujhe Dil ke dushman Ya Muhammad se pyare ho gaye