Hawa hamd-e-Khuda mein dil jo masroof-e-raqam mera Alif alhamd Rabb-ul-Alameen ka hai qalam mera
Rahe naam-e-Muhammad ﷺ lab pe ya Rabb awal-o-aakhir Ulat jaaye ba-waqt-e-naz'a jab seene mein dam mera
Mohabbat-e-Ahl-e-Bait-e-Mustafa ki noor-e-barhaq hai Ke roshan ho gaya dil misl-e-qandeel-e-haram mera
Dikhayi mujh ko rah-e-zar'a ashab-e-Payamber ﷺ ne Charagh-e-rah hai ikram-e-ashab-e-karam mera
Kahin Shah-e-Najaf ke ishq mein dil mera dooba tha Ke hai durr-e-Najaf ho kar chamakta durr-e-yam mera
Shah-e-Baghdad ka khat-e-ghulami zauq rakhta hoon Na kyun dil us khat-e-Baghdad se ho jaam-e-jam mera