Hawa hai jab se mera qalb aashiyaan un ka Yeh dasht-e-khaar nahin ab hai gulistaan un ka
Jihaat ka ho yaqeen keh waqt ki had ho Zamaan un ka, makaan un ka, laa makaan un ka
Unhein kisi ki zaroorat jo ho to kyun kar ho Woh jaante hain keh mohtaaj hai jahaan un ka
Woh kaaf noon ko sir-e-nihaan wahi maqsood Kamaal-e-ma’ni-e-kun woh hain kun fakaan un ka
Sohail un ki inaayat se yeh sa’adat hai Tere kalaam ka mashmool hai bayaan un ka
Karam mujh pe mere shaha kijiye ga Kabhi rukh se parda utha dijiye ga