Har su hai izhaar Madine wale ka Noorani darbaar Madine wale ka
Le ke chalo ab mujh ko Madine le ke chalo Main toh hoon bimaar Madine wale ka
Mujh ko hoga naaz ke jab yeh log kahein Mangta hai sarkar Madine wale ka
Sab se oonchi shaan Madine wale ki Sab se bada darbaar Madine wale ka
Apne toh apne hain dushman bhi bole Aala hai kirdar Madine wale ka
Meri bhi dil ki yeh ek tamanna hai Ho jaaye deedar Madine wale ka
Mohsin ek din jaayein hum bhi Taiba mein Phir dekhein ge darbaar Madine wale ka