Har samt hai zulmat meri Sarkar karam ho Mushkil mein hai ummat meri Sarkar karam ho
Kab tak bhala sehte rahein baatil ke mazaalim Baaki nahi himmat meri Sarkar karam ho
Is darja na dekhi thi kabhi ae mere Aaqa Aalaam ki shiddat meri Sarkar karam ho
Sarkar! ghulamon ko to jeene nahi deta Ehsaas-e-nadaamat meri Sarkar karam ho
Ab kisi tarah bhi dekhi nahi jaati Haalaat ki soorat meri Sarkar karam ho
Kyun meri nawaon se asar ho gaya zaail Ho paikar-e-rehmat meri Sarkar karam ho