Hech hain dono jahan meri nazar ke saamne Main khada hoon rauza-e-Khair-ul-Bashar ﷺ ke saamne
Jhilmilane lag gayin rauze ki roshan jaaliyan Ik naya manzar hai meri chashm-e-tar ke saamne
Urr gayi meri gunahon ki siyaahi urr gayi Zulmat-e-shab jis tarah noor-e-sahar ke saamne
Maangta hoon jis qadar milta hai kuch us se siwa Har dua sharminda rehti hai asar ke saamne
Ik jagah par dono mahv-e-istarahat hi nahin Ghar bhi hai Siddiq ka Hazrat ke ghar ke saamne
Tu ne kaar-amad banaya zindagi aur maut ko Maqsad aisa rakh diya nau-e-bashar ke saamne
Main Asad sehan-e-haram mein baithta hoon us jagah Ho jahan se Gumbad-e-Khizra nazar ke saamne