Hai Surah-tush-Shams agar rukh-e-Muhammad ﷺ Wallail ki tafseer hui moo-e-Muhammad ﷺ
Jab rukh-e-Muhammad ﷺ ki nazar aayi tajalli Samjha main Shab-e-Qadr hai gesoo-e-Muhammad ﷺ
Maah-e-nau-e-Shawwal se aashiq ko kahan Eid Jab tak nazar aa jaye na abroo-e-Muhammad ﷺ
Kis waza uthaaye hue hain baar-e-do aalam Zahir mein toh nazuk se hain baazoo-e-Muhammad ﷺ
Tha besh-baha ishq ke bazaar mein Yusuf Par ho na saka sang-e-tarazoo-e-Muhammad ﷺ
Kaabe ki taraf munh ho namazon mein hamara Kaabe ka shab-o-roz hai munh soo-e-Muhammad ﷺ
Har nakhl-e-bayaban-e-Arab mujh ko hai Tooba Hoon shefta-e-qamat-e-diljoo-e-Muhammad ﷺ
Rizwan ke liye le chalo soghat Shaheediؔ Gar haath lage khaar-o-khas koo-e-Muhammad ﷺ