Duniya ko badalne aap ﷺ aaye Jo sar the jhuke hue uthaye
Haavi hain tamam mojzon par Jo lafz zabaan pe un ki aaye
Apne hain Makkah aur Madinah Baqi sab shehar hain paraye
Aaqa ﷺ se sukhan ki yeh ghadi hai Ab koi na darmiyan aaye
Kaise the chand aur sooraj Aye Ghaar-e-Thaur! kya hai raye