Chiraagh-e haqq jalaaya ja raha hai Andhiyaron ko mitaaya ja raha hai
Kisi ki aamad aamad hai yaqeenan Jahan bhar ko sajaya ja raha hai
Parhi jo naatoon mein sunaaya ja raha hai Tumhein Taiba bulaya ja raha hai
Hareem-e-Naaz mein woh jalwa gar hain Abhi parda uthaya ja raha hai
Bhala aisa sakhi koi aur hoga Mila jo kuch lutaaya ja raha hai
Mere Aqa ﷺ woh Quran-e Mujassam jo naatoon mein sunaaya ja raha hai
Woh Aqsa mein jamaat-e-anbiya ki Imam unko banaaya ja raha hai
Mere Aqa ka husn-e-khulq dekho Gale sab ko lagaya ja raha hai
Jo muddat se beham shamshir-zaan thay Unhein phir se milaya ja raha hai
Jo kuch de aashna asraar-e haqq se sabaq aisa parhaya ja raha hai
Yeh bhini bhini khushboo keh rahi hai Madinah paas aaya ja raha hai
Wiladat-e Mustafa aisi hai saahir Lo aaya noor saaya ja raha hai