Bane hain midhat-e-Sultan-e-dojahan ﷺ ke liye Sukhan zabaan ke liye aur zabaan wahan ke liye
Woh Shah jis ka adu jeete ji jahannam mein Adawat us ki azab-e-aleem jaan ke liye
Woh Shah jis ka muhib amn-o-aafiyat mein mudam Mohabbat us ki hisar-e-haseen amaan ke liye
Woh chand jis se hui zulmat-e-jahan madoom Raha na tafriqa-e-roz-o-shab zaman ke liye
Hilal-e-Makkah ka mah-e-do-hafta Yasrib ka Farogh-e-qaum ke aur shama-e-doodmaan ke liye
Ghar us ka maurid-e-Quran-o-muheet-e-Jibreel Dar us ka Ka'ba-e-maqsood-o-ins-o-jaan ke liye
Sipehr garm-e-tawaf us ki bargah ke gird Zameen sar-ba-sujood us ke aastan ke liye
Woh lahza lahza tafaqqud woh dam-ba-dam altaf Raza-e-khatir-e-yaran-e-jaan fishan ke liye
Woh goona goona madara woh baat baat mein mehr Kushayish-e-girah-e-keen dushmanan ke liye