Aaqa Huzoor ﷺ, Aap ﷺ ki azmat pe ho salam Mahshar talak hain Aap ﷺ har daur ke imam
Rahmat bana ke Aap ﷺ ko bheja gaya Huzoor ﷺ Hai saari kainat mein faiz Aap ka hi aam
Zamin-e-salamati ke bhi ta-hashar Aap ﷺ hain Mabni-e-sakha-o-adl par hai Aap ﷺ ka nizam
Banda nahin woh Rabb-e-Azeem-o-Jaleel ka Jo Aap ﷺ ka ba-zahir-o-batin nahin ghulam
Ya Rabb! Karam ki bheek mujhe dam-ba-dam mile Roshan rahe chiragh-e-mohabbat mera mudam
Har patta bhejta hai salamon ki daaliyan Har zarra kar raha hai Muhammad ﷺ ka ehtram
Baad az Khuda Huzoor ﷺ hi ka naam hai haseen Mera toh ek hi wazifa hai subah-o-shaam



