Aap aaye to zamane ko ujala kar diya Ik nigah-e-naaz ne adna ko aala kar diya
Ulfat-e-Aqa ﷺ mein hum ne dil deewana kar diya Teri midhat ne mujhe duniya mein shohra kar diya
Poochta koi na tha mujh be-hunar ko jab Shaha Aap ki nazar-e-karam ne qad ko ooncha kar diya
Makkah se Taiba ki hijrat shaan-o-shaukat lajawab Aap ﷺ ki aamad ne Yasrab ko Madinah kar diya
Pyaase jitne Badr ke maidan mein as-haab the Aap ne ungli se apna jaari chashma kar diya
Yun to duniya mein habibi anbiya aaye bahut Rab ne rutba sab mein aala Mustafa ka kar diya