Sultan-e-salateen Hussain ibne Ali hai Woh sher-e-jali sher-e-jali sher-e-jali hai
Islam ke gulshan ki taraf dekhne wali Jo aayi bala sadqa-e-Shabbir tali hai
Aaqa ﷺ ke nawason ko lahu pee ke jahan mein Aisi bhi kahin aur kabhi shaam dhali hai
Murshid hai Hussain ibne Ali jaisa hamara Naara jo hamara hai toh naara Ali hai
Us taraf Madinah hai toh is samt hai Karbal Jannat hai Madinah toh yeh jannat ki gali hai
Abbas ho Qasim ho ke hon Akbar-o-Asghar Hai sher-e-wali ibne wali ibne wali hai
Us ghar ki ataaon pe karen naaz na kaise Khwaja hai koi aur koi Ghous-e-jali hai
Nasir yeh gham-e-Aal-e-Muhammad ﷺ ka karam hai Aankhon se sitaron ki jo baarat chali hai





