Sukhanwari mein zer aur zabar kahe Aliؑ Aliؑ Jo lafz ban gaya guhar, guhar kahe Aliؑ Aliؑ
Zameen se nazar hati, gayi falak se paar jab Jahan gayi jidhar gayi nazar kahe Aliؑ Aliؑ
Ali meri to saans mein utar gaye kuch is tarah Yeh tan kahe, yeh man kahe, jigar kahe Aliؑ Aliؑ
Ziya-e-shams mein gaya, nigah-e-shams ne kaha Chalo ge jis taraf bhi rahguzar kahe Aliؑ Aliؑ
Samar se puchne gaya, batao Maula kaun hai Samar ki baat sun ke phir shajar kahe Aliؑ Aliؑ
Main shab se puchta raha, ke hai teri umeed kya To shab ke saath jhoom kar sahar kahe Aliؑ Aliؑ
Safar jo wahdaton ka hai, woh kasraton mein dhal gaya Nagar nagar mein ghoom kar safar kahe Aliؑ Aliؑ
Kiran kiran jo chandni se phoot-ta hai Fazl bhi Woh bahr-o-bar mein ja ke be-khatar kahe Aliؑ Aliؑ
Main Qaim-us-Salat hoon, main bandagi ki zaat hoon Sujood ka, qayam ka hunar kahe Aliؑ Aliؑ