We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Qaseeda e Hazrat Shabeer Not Verified

Syed Nasir Hussain Chishti

Yun nibhayi haq se apni dosti Shabbir ؑ ne Waar di Karb-o-Bala mein zindagi Shabbir ؑ ne



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Jagmagaata hi rahe ga jis ki kirnon se jahan Apne sajdon se woh de di roshni Shabbir ne


Tha khatakta ghalba-e-Islam un ki aankh mein Un ke andar ki shaqawat dekh li Shabbir ne


Apne Nana ki mohabbat aur azmat ke liye Kuye Bat-ha jaisi chhor di Shabbir ne


Aisi kaliyan jin ki qismat mein kabhi khilna na tha Bakhsh di un ko lahu se taazgi Shabbir ne


Karbala ki khaak ko qudsi bhi aaye choomne Is tarah ki us zameen par bandagi Shabbir ne


Sar kate jo Karbala mein un se Nasirؔ hai ayan Maut ko jaana hai shaan-e-zindagi Shabbir ne

Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah