Patthar hata ke laash se Zainabؑ ne di sada Kaise pade hain jism ke tukde juda juda
Haaye haaye mere gharib ka kya haal kar diya Ghodon se laasha dasht mein paamaal kar diya Pehchaanu kis tarah se badan se hai sar juda
Pehchaanna tumhare liye bhi kathan hua Dekha hai pehli baar jo Zainabؑ ko be-rida Aati hai zarm jald bata do mujhe zara
Kya le gaye hain loot ke sab kuch ashqiya Tan par bacha hai maa ka yeh kurta sila hua Nikle the jab khiyam se yeh haal toh na tha
Dekhu bandhi hain haathon mein mere bhi rassiyan Ab aur lo behan ki na ghurbaat ka imtehan Kuch toh jawab do mujhe Sughra ka wasta
Pehchan loon gi main tumhein awaaz mujhko do Dam todte jo dekha hai kareel jawan ko Aankhon mein ab behan ki ujala nahi raha
Karta raha hai zibah ki koshish kahan kahan Khanjar ke hain kati hui gardan pe bhi nishan Kaata hai kis tarah se sitamgar ne gala
Aahista se jawab do hai saath us ki maa Kya ab tumhare paas hai masoom be-zaban Nanha sa laasha kis ka yeh seene pe hai rakha
Woh bhi tumhari tarah se zakhmi na ho kahin Dil ko mere yeh lagta hai majood hai yahin Aati hai maa ke rone ki nazdeek se sada
Zainab pukari Meer Takallumؔ basad malal Kya marte waqt bhi mere parde ka tha khayal Hai mutthiyon mein kis liye yeh khaak-e-Karbala