We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Koi Samajh Nahi Sakta Hussain Ka RutbaNot Verified

Mir Takallum Mir

Koi samajh nahi sakta Hussain ؑ ka rutba Hai ambiya se bhi aala Hussain ؑ ka rutba


Ali ؑ ne beti se ki hogi aake sargoshi Kaha hai bhai ko tere Yazeed ne baghi Bata de Sani-e-Zehra ؑ Hussain ؑ ka rutba


Hussain ؑ chahein toh hota hai murda khud zinda Bahut se log nahi maante yeh baat zara Habib ؑ uth ke batana Hussain ؑ ka rutba


Namazi haanp rahe thay ajeeb halat thi Taweel sajday se sar ko utha ke bole Nabi ﷺ Samajh toh aa gaya ho ga Hussain ؑ ka rutba


Thay ikhtiyar Muhammad ﷺ mein loh-o-qalam Pisar naseeb mein rahib ke khud kiye na raqam Samajh le taake zamana Hussain ؑ ka rutba



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Hai lafziyat ki yeh kaisi kaisi majboori Tamaam aayatein tehreer ho gayin phir bhi Abhi bhi baaqi hai likhna Hussain ؑ ka rutba


Har ek surah ka main tarjuma batata gaya Usay main hamd se Wannas tak sunata gaya Kisi ne pooch liya tha Hussain ؑ ka rutba


Kaha yeh Rab ne yaqeen mein badal na jaaye gumaan Khuda na lagne lage yeh tumhein aye ahl-e-jahan Sambhal sambhal ke samajhna Hussain ؑ ka rutba


Kisi ne imla likhaya hai toh ne likha hai Tere qalam pe Takallum ؔ ataa-e-Zehra ؑ hai Wagarna kaun likhe ga Hussain ؑ ka rutba

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah