Al-hamdu Fatihah hai Quran-e-Kareem ka La raib har warq hai Alif-Laam-Meem ka
Jab se liya hai naam Khudaye Raheem ka Khatra nahi raha mujhe zard-e-rajeem ka
Kaise karoon main shukr Ghafoor-ur-Raheem ka Irfan mujh ko bakhsha Rasool-e-Kareem ka
Banda hoon kis ka, banda hoon Rab-e-Kareem ka Ya’ni Shafee-e-Hashr, Raoof-ur-Raheem ka
Mujh ko pata hai khauf nahi hai Jaheem ka Hoga jo faisla mere haq mein Kareem ka
Is ne’mat-e-tamam pe In’amaat hai gawah Mujh ko mila shaoor rah-e-mustaqeem ka
Har zarra hai jahan ka aks-e-wujood-e-zaat Hadis bata raha hai pata kya Qadeem ka
Sadqa Huzoor-e-Pak ka anjam ho bakhair Aalam bada hi sakht hai umeed-o-beem ka
Har be-khabar ki rehti hai har pal jise khabar Banda hai Khushtar aise Khabeer-o-Aleem ka