Aah! har lamha gunahon ki kasrat-o-bharmar hai Ghalba-e-shaitan hai aur nafs-e-bad-atwar hai
Mujrimon ke vaste dozakh bhi shola-bar hai Har gunah qasdan kiya us ka bhi iqrar hai
Aah! nafarmaniyan, badkariyan, bebakiyan Nama-e-aamal mein gunahon ki bhi bharmar hai
Chhup ke logon se gunahon ka raha hai silsila Tere aage Ya Khuda har jurm ka izhar hai
Ab sar-e-baleen khudara muskurate aaiye Jaan balab Shah-e-Madinah ﷺ! talib-e-deedar hai
Ya RasoolAllah ﷺ! aakar qabr roshan kijiye Zaat beshak aap ki manba-e-anwar hai
Nekiyan palle nahin Aaqa ﷺ! shafa’at kijiye Aap ki nazar-e-karam hogi to beda paar hai
Ya Nabi ﷺ! Attar ko jannat mein de apna jiwar Vasta Siddiq ka jo tera yaar-e-ghaar hai