Allah! Hamein karde ata qufl-e-Madinah Har ek musalman le laga qufl-e-Madinah
Ya Rab na zaroorat ke siwa kuch kabhi boloon Allah! zaban ka ho ata qufl-e-Madinah
Har lafz kis tarah hisab aah! mein doon ga Allah! zaban ka ho ata qufl-e-Madinah
Har aan mere lab pe rahe zikr-e-Madinah Allah! zaban ka ho ata qufl-e-Madinah
Boloon na fazool aur rahein neechi nigahain Aankhon ka, zaban ka de Khuda! qufl-e-Madinah
Na waswasay aaein na mujhe gunday khayalat De zehan ka aur dil ka Khuda! qufl-e-Madinah
Raftar ka, guftar ka, kirdar ka de de Har uzw ka de mujh ko Khuda ka! qufl-e-Madinah
Dozakh ki kahan taab hai kamzor badan mein Har uzw ka Attar! laga qufl-e-Madinah