Usne bhari mehfil ko deewana bana daala Khud shamma bana sab ko parwana bana daala
Dil apna Muhammad ﷺ ka kaashana bana daala Ujde hue is ghar ko shahana bana daala
Wahdat ki pila kar may us saaqi-e-Kausar ne Ek aalam-e-kasrat ko mastana bana daala
Dikhla ke jhalak apni Allah ne Musa ko Deewana bana daala parwana bana daala
Chullu se pila saaqi paimana nahi to kya Hum ne unhi hathon ko paimana bana daala
Ab yaad mere dil mein har waqt buton ki hai Allah ka ghar main ne but-khana bana daala
Sanjar ko khabar apni kuch bhi nahi wahshat hai Ulfat ne use aisa deewana bana daala