Zabaan ko lazzat-e-izhaar ka maza aaye Jab us se wasf-e-Nabi ﷺ ka bayan ho jaaye
Jo mu'tariz hai koi Aap ﷺ ki sadaqat ka Huzoor ﷺ si koi jaame misaal to laaye
Huzoor! Aap ﷺ ke qadmon ki khaak hai duniya Jahan pe taabi-e-farman Aap ﷺ ke chhaaye
Raheen-e-dast-e-karam Aap ﷺ ka, har ek zarra Jo aab-o-taab mein shams-o-qamar ko sharmaaye
Khuda kare ke yeh karb-e-aakhirat ki raahat ho Firaaq Aap ﷺ ka har aan mujh ko tarpaaye
Riaz Quds ko main aankh mein basa laaun Ke mera taair-e-qalb-o-nazar sukoon paaye