Zikr-e sarkaar se faraar na ho Aadmi in se sharmasaar na ho
Main to is chand ko chand nahi kehta Inke qadamon pe jo nisaar na ho
Aankh woh aankh hi nahin sahib Inke gham mein jo ashk baar na ho
Ya Nabi as qadr karam kijiye Banda ghayron ka zeer-e-baar na ho
Jab farishta-e-ajal ka aajaaye Zindagi meri sogwaar na ho