Zarra kare khurshid ki midhat to ajab kya Paayein mere lab naat ki rif'at to ajab kya
Yeh chand, yeh suraj, yeh sitare teh-e-aflaak Karte hain tawaf-e-dar-e-rehmat to ajab kya
Jab qabr mein pursish ke liye aayein Nakirain Mil jaaye bas ik naat ki mohlat to ajab kya
Jis dam woh ghulamon ko pukaarein sar-e-mehshar Mujh par bhi rahe chashm-e-inayat to ajab kya
Vaise to kahan qabil-e-bakhshish mere a'maal Lekin woh karein meri shafa'at to ajab kya
Thehre woh bas ik ashk-e-nadamat ke barabar Ho khud ki bas itni si qeemat to ajab kya
Jo dhanp le sab apni ghulamon ki khataayein Mil jaaye woh ik chadar-e-rehmat to ajab kya