Zamaane mein phaila hai noor aap ﷺ se Dilon ko mila hai suroor aap ﷺ se
Andhera kata aap ﷺ hi ke tufail Sahar ka hua hai zuhoor aap ﷺ se
Sakoon aafreen aap ﷺ ka zikr hai Munawwar hai aql-o-shaoor aap ﷺ se
Mujhe ahl-e-duniya ne thukra diya Jahaan mein hoon main pur-ghuroor aap ﷺ se
Usi se hoon main sarfaraz jahaan Jo nisbat hai mujh ko huzoor aap ﷺ se
Zamaana bhi us ko bhula deta hai Jo daanista hota hai door aap ﷺ se
Mujhe bhi Madine bula lijiye Nahin reh sakoon ga main door aap ﷺ se
Jise log kehte hain Anwar Sadeed Woh maange shafa'at huzoor aap ﷺ se