Zamana tere liye hai, azal abad tereؐ In aayno mein jhalakte hain khal-o-khad tereؐ
Main kis tarah tereؐ ausaf ka shumar karoon Khuda ke baad mahasin hain be-adad tereؐ
Tu chand ban ke unhein bakhshta hai tughyani Samundaron ke talatum mein jazr-o-madd tereؐ
Hui hai qarya-ba-qarya jahan mein teriؐ sana Huye hain dahr mein charche balad balad tereؐ
Kise khabar ke tereؐ zer-e-lab tabassum mein Nehufta rehte the kitne gham-e-Asad tereؐ
Teriؐ hadees mein muzmar hai aitbar-e-sukhan Mere liye to sabhi hain sanad tereؐ