Zahe muqaddar huzoor-e-haq se salaam aaya payaam aaya Jhukaao nazrein bichao palkein adab ka aala maqaam aaya
Yeh kaun sar pe kafan lapete chala hai ulfat ke raaste par Farishte hairat se tak rahe hain yeh kaun zeeshan-e-ehtram aaya
Fiza mein labbaik ki sadaayein zameen se arsh goonjti hain Harak qurban ho raha hai zubaan pe yeh kis ka naam aaya
Yeh rah-e-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par Pahoncha dar par to kehna Aaqa ﷺ salaam leejiye ghulam aaya
Yeh kehna Aaqa ﷺ bahut se aashiq tarapte se chhor aaya hoon main Bulawe ke muntazir hain lekin na subah aaya na shaam aaya
Khuda tera hafiz-o-nigehbaan ae rah-e-batha ko jaane waale Navid-e-sada binaat ban kar payaam-e-Darussalam aaya