Yeh woh dar hai ke jahan dil nahi tode jaate Be talab bhik yahan milti hai aate jaate
Yeh hai Aqaﷺ ki inaayat woh karam karte hain warna hum jaise kahaan dar pe bulaaye jaate
Shahr-e-Sarkarﷺ ki khak ke hum zarre hote Aap ki raah mein bikhre huay paaye jaate
Unki dehleez ke mangte bari mauj mein hain Hum se aghyaar ke tukray nahi khaye jaate
Apna madfun jo muqaddar se ban jaata Baqi-e-Paak Hashr mein Aap ke qadamon se uthaye jaate