Yeh saari fazaaen kehti hain Par noor hawaaen kehti hain
Rahmat ki ghataen kehti hain Sarkar jiya nain aauna ain
Un ke aashiq Ghawth wa Qalandar Un ke aashiq Pir Paimbar
Jo un ke darka mangta hai Jo un ke gham mein rota hai
Dil uska yeh hi kehta hai Sarkar jiya nain aauna ain
Kyun na un ke geet sunayein Jin ki saare jag par chhaayein
Milad bhi un ka manaayenge Hum apne gharo ko sajayenge
Deewane mil kar gaayenge Sarkar jiya nain aauna ain
Un ke mangte chand aur tare Un ke mangte aashiq saare
Jo mahfil pak sajata hai Jo geet Nabi ke gaata hai
Har dam woh yeh hi kehta hai Sarkar jiya nain aauna ain
Un ka rutba sab se achira Un ke dam se har soo savera
Sab shah wa gada bhi kehte hain Lahore ke Data bhi kehte hain
Mere Ahmed Raza bhi kehte hain Sarkar jiya nain aauna ain
Un ki saare jag mein pukaaren Un ke dam se saari bahaaren
Yeh jitne samundar chalte hain Yeh jitne darya behte hain
Saaqib woh yeh hi kehte hain Sarkar jiya nain aauna ain