We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Yeh Naaz Yeh AndazNot Verified

Yeh naaz yeh andaaz hamare nahi hote Jholi mein agar tukde hamare nahi hote



More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play


Jab tak ke Madinah se ishaare nahi hote Roshan kabhi qismat ke sitaare nahi hote


Hum jaise nikammon ko gale kaun lagata Sarkar agar aap hamare nahi hote


Be-daam hi bik jaate bazaar-e-Nabi mein Is shaan ke saude khasaare nahi hote


Milti na agar bheek humein aap ke dar se Is thaath se mangton ke guzaare nahi hote


Khalid yeh tasaddaq hai faqat naat ka varna Mahshar tere vaare niyaare nahi hote

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah