Yeh kehti thi ghar ghar mein jakar Halima mere ghar mein Khair-ul-Wara aa gaye hain Bare auj par hai mera ab muqaddar mere ghar Habib-e-Khuda aa gaye hain
Uthi char su rehmaton ki ghataein muattar muattar hain sari fazaein Khushi mein yeh Jibreel naghme sunaye woh Shafi-e-roz-e-jaza aa gaye hain
Yeh zulmat se keh do ke dere utha le ke hain har taraf ab ujalay Kaha jin ko Haq ne Sirajan Munira mere ghar woh Noor-e-Khuda aa gaye hain
Muqarrab hain beshak Khalil-o-Naji bhi bari shan wale Kaleem-o-Masih bhi Liye Arsh ne jin ke qadmon ke bose woh Ummi laqab Mustafa aa gaye
Yeh sun kar Sakhi aap ka aastana hai daman pasare hue sab zamana Nawason ka sadqa nigah-e-karam ho tere dar pe tere gada aa gaye hain
Nakiren jab meri marqad mein aa kar kahenge ziyarat ka muzda suna kar Utho behr-e-tazeem Noor-ul-Hassan ab lahad mein Rasool-e-Khuda aa gaye hain