Yeh ikram hai Mustafa par Khuda ka Ke sab kuch Khuda ka hua Mustafa ka
Yeh baitha hai sikka tumhari ata ka Kabhi haath uthne na paaya gada ka
Chamakta hua chand ghar-e-Hira ka Ujala hua burj-e-arsh-e-Khuda ka
Jo banda Khuda ka woh banda tumhara Jo banda tumhara woh banda Khuda ka
Sahara diya jab mere nakhuda ne Huyi nau seedhi phira rukh hawa ka
Agar zer-e-deewar-e-Sarkar baithun Mere sar pe saya ho fazl-e-Khuda ka
Azaan kya jahan dekho imaan walo Pas-e-zikr-e-Haq zikr hai Mustafa ka
Ke pehle zabaan hamd se paak ho le To phir naam le woh Habib-e-Khuda ka
Khuda madh-khwan hai Khuda madh-khwan hai Mere Mustafa ka mere Mustafa ka
Bhala hai Hasan ka janab-e-Raza se Bhala ho Ilahi janab-e-Raza ka