Yeh hi nahin jab tak bhi jeeyen hum ﷺ Yeh hi parhein hum yeh hi sunein hum ﷺ
Charhte din ki sargoshi mein dhalti shab ki khamoshi mein Ek yehi aawaaz sunein hum ﷺ
Har ek saans durood asar ho yehi wazeefa shaam-o-sahar ho Jis mein sada mashghool rahein hum ﷺ
Jism se jis dam rooh juda ho nabz ho madham saans ukhra ho Lab pe ho jis waqt marein hum ﷺ
Ghaar-e-zaat ki tanhai mein apni rooh ki gehrai Shaam-o-sahar yeh wird karein hum ﷺ
Maghz-e-ibadat unki sana ho harf-e-naat hi harf-e-dua ho Yeh hi Riaz dua mangein hum ﷺ