Yeh hai dayar-e-Payambar yaheen thehar jaayen Baraye auj-e-muqaddar yaheen thehar jaayen
Wara-e-hadd-e-guman hai tajalliyon ka saman Kahan milega yeh manzar yaheen thehar jaayen
Bala ki dhoop hai duniya ke reg-zaaron mein Yahan hai chhaon muyassar yaheen thehar jaayen
Ajab kashish hai teri noor-khez galiyon mein Tamam raaste aakar yaheen thehar jaayen
Musafiran-e-reh-e-ishq yeh Madinah hai Yahan qayam hai behtar, yaheen thehar jaayen
Zareeh-e-paak se Talib sada yeh aati hai Durood-o-zikr ke khugar yaheen thehar jaayen