Yeh ehtimam andheron ke radd mein rakha gaya Charagh-e-ism-e-Muhammad lahad mein rakha gaya
Majal hai ke hui ho kahin kami beshi Woh noor-e-mo'jiza-e-sad ba sad mein rakha gaya
Kaha gaya ke pukaro to keh ke 'unzurna Jo be-adab thay unhein ek had mein rakha gaya
Woh jis ne Adam-o-Hawwa ko bante dekha tha Usay shuru se husn-e-abad mein rakha gaya
Kuch aur sehal huin agli manzilein mujh par Wazifa-e-rukh-e-Aqa sanad rakha gaya
Mujhe sunai gayi yun shafa'aton ki naveed Munafiqon ko azab-e-hasad mein rakha gaya
Ata hua tha wahin se mizaj-e-ruft-gari Yeh martaba tha jo bas meri madd mein rakha gaya