Yaad-e-Shah-e-Batha mein jo ashk bahate hain Ghar baith ke Tayyaba ka woh lutf uthate hain
Jo yaad-e-Madinah ko seenon mein basate hain Jeene ka maza aise ushshaq hi pate hain
Kis pyaar se ummat ke woh naaz uthate hain Isiyan ko ghulamon ke ashkon se mitate hain
Woh apne ghulamon ko dozakh se bachate hain Allah ki rehmat se jannat mein basate hain
Sarkar khilate hain sarkar pilate hain Sultan-o-gada sab ko sarkar nibhate hain
Rote hain tadapte hain yeh aap ke deewane Sarkar Madine ko phir qaafile jaate hain
Biphri hui maujon mein jab unko pukara hai Toofan se kashti ko woh paar lagate hain
Jitne bhi hain deewane un sab ko bula leeje Armaan gharibon ko Tayyaba ke rulate hain
Yeh aap ki marzi hai jin par bhi karam kardein Jannat ki sanad dene rauze pe bulate hain
Woh hashr ke maidan mein daaman mein chupayenge Hum sab ke yahan par bhi jo ayb chupate hain
Gham mujh ko Madine ka sarkar ata kardo! Aazaar zamane ke bekaar rulate hain
Qurban! sar-e-mehshar hum pyaas ke maaron ko Bhar bhar ke woh Kausar ke kya jaam pilate hain
Arsa hua ae Aaqa! Tayyaba se judai ko Attar ko kab jaana! phir dar pe bulate hain