Yaad-e-Mustafa aisi bas gayi hai seenay mein Jism ho kahin apna dil toh hai Madinay mein
Meray kamli walay ka ghar toh hai Madinay mein Haan magar woh rehtay hain aashiqon kay seenay mein
Musk mein na ambar hai aur na gul-e-tar mein Hum nay jo mehak paayi Aaqa kay paseenay mein
Kaun si jagah un kay aashiqon say khaali hai Har jagah hain parwanay shama hai Madinay mein
Ishq-e-Sarwar-e-Aalam jalwa-gar hai seenay mein Hum ko bhi bula lijiye Mustafa Madinay mein
Fikr kya talatum ka, khauf kya hai toofan ka Naam-e-Mustafa likh kar daal day safeenay mein
Kaun hai yeh deewana kis ka hai yeh deewana Hashr mein bhi kehta hai jaana hai Madinay mein
Ek din main jaaun ga sar kay bal Madinay mein Dil mein hai meray hasrat, mar jaaun Madinay mein
Kaun teray Aaqa hain poochha toh Khizr bolay Kaali kamli walay hain rehtay hain Madinay mein
Baad meray marnay kay dost meray yun bolay Aadmi jo achha tha mar gaya Madinay mein
Raaz woh bulayein gay yeh yaqeen hai mujh ko Jaanay kaun say san mein jaanay kis mahinay mein