Yaad-e-Mahboob ﷺ hai aur aalam-e-tanhai hai Ab to khalwat mein bhi kya anjuman-aarai hai
Dil wahi dil hai jo Sarkar ﷺ ka shaidai hai Jaan wahi jaan hai jo Taibah ki tamannai hai
Shafi-e-roz-e-jaza, matla-e-diwan-e-wajood! Dono aalam mein musallam teri yaktai hai
Main fida, jab bhi tera naam liya hai main ne Dil bhi tarpa hai meri aankh bhi bhar aayi hai
Ae tabib-e-do jahan! tera karam hai darkaar Ae masiha-e-zaman! waqt-e-masihai hai
Lala-o-gul ko mila hai tere gulshan se farogh Maah-o-anjum ne tere dar se ziya payi hai
Kyun na ushshaq Madine ki zameen ko choomein? Yeh zameen Khwaja-e-Aalam ﷺ ko pasand aayi hai
Kitna khush-qismat-o-khush-bakht hai Mazhar jis ne Shah ﷺ ke madah-saraon mein jagah payi hai