Ya RasoolAllah! Mujrim hazir-e-darbar hai Nekiyan pallay nahi sar par gunah ka baar hai
Namah-e-aamaal mein koi nahi husn-e-amal Paas daulat nekiyon ki kuch nahi naadaar hai
Tum Shah-e-Abrar yeh sab se bada isyaan shiaar Yun shafa'at ka yehi sab se bada haqdaar hai
Kardo maala maal Aaqa daulat-e-akhlaq se Khulq ki daulat se yeh mehroom-o-badguftaar hai
Is ki aankhein paak kar ke jalwa-e-zaiba dikha Ek muddat se yeh tera taalib-e-deedaar hai
Gumbad-e-Khazra pe Aaqa jaan meri qurban ho Meri dereena yehi hasrat Shah-e-Abrar hai
Muskuratay aao Aaqa aake kalma bhi padhao Ho karam Shah-e-Madinah! jaan-balab beemar hai
Aafton ne gher rakha hai shaha har samt se Murtaji chashm-e-karam ka bekas-o-naachaar hai
Jo tere dar par jhuka woh sar-bulandi pa gaya Jo akar kar reh gaya beshak zaleel-o-khwaar hai
Dushmanon ke zulm had se bhi tajawuz kar gaye Aap se faryaad Maula Haider-e-Karraar hai
Qalb-e-muztar chashm-e-tar soz-e-jigar seena tapan Taalib-e-aah-o-fughaan jaan-e-jahan Attar hai
Sab gunahgaar ek taraf Attar akela ek taraf Mujrimon mein muntakhab mujrim yehi Attar hai