Ya Nabi nuskha-e-taskheer ko main jaan gaya Us ko sab maan gaye aap ko jo maan gaya
Doobte doobte jab un ki taraf dhyan gaya Le ke saahil ki taraf khud mujhe toofan gaya
Har bulandi mujhe pasti ki tarah aayi nazar Jab mera Gumbad-e-Khizra ki taraf dhyan gaya
Ghaib ka jaanne wala unhein jab main ne kaha Baat imaan ki thi kufr bura maan gaya
Jaise barson ki mulaqaat rahi ho un se Qabr mein dekhte hi main unhein pehchan gaya