Ya Nabi nazar-e-karam farmana ae Hasnain ke nana Zehra pak ke sadqe hum ko Taiba mein bulana
Saj gayi hai Milad ki mehfil kya hai khoob nazara Kaif-o-masti mein dooba hai dekho aalam sara
Dhoondh rahi hai aap ki rehmat bakhshish ka bahana Be-saya hai lekin do jag par hai aapka saya
Arsh-e-Mu'alla bana mohalla deed ko Rab ne bulaya Hashr talak na ho ga kisi ka aisa aana jana
Aapke dar ka main hoon bhikari aap hain mere data Saare rishton naaton se hai pyara apna nata
Aap to hain aata hai jinko sab ki laaj nibhana Nisbat ka faizan hai dekho khadim-e-Ghaus-e-Jali hoon
Karta hai mujh pe naaz zamana main Ausaf-e-Ali hoon Aap ki aal ka main naukar hoon aur khadim hoon purana