Ya Nabi mujh ko Tayyibah bulana Sabz gumbad ka jalwah dikhana
Teri firaqat mein dil ro raha hai Yaad har waqt tu aa raha hai
Saare jag se haseen mere mah-e-mubeen mujhko didaar apna karana
Roz karta hoon ro ro duaaen Dekh loon main bhi gunbad ki chaayen
Ya Habib Khuda meri sun le dua jald roza mujhe tum dikhana
Mere sar par ghamon ke hain saaye Tum bin dukh kaun mere mitaaye
Ya Shafi'i Ummam ek nigah-e karam mere dukhon ko Allah mitaana
Jhooli phailaaye dar pe khara hoon Ro ro firaad yeh kar raha hoon
Shah-e Khair-al-Anam Anbiya ke Imam Khair-rahmat ki jhooli mein paana
Saaqib Irfan tera diwana Gaata rehta hai tera tarana
Mere pyaare shaha mujhko waqt-e naza jalwa apna haseen hai dikhana