Ya Nabi mujh ko Madine mein bulana baar baar Baar baar aaun bane aakhir Madine mein mazaar
Hain hawain mehki mehki toh fazain khushgawar Zarra zarra hai Madine ka yaqeenan noorbaar
Kaash jab aaun Madine khoob taari ho junoon Ho gareeban chaak seena chaak daaman taar taar
Maal ki kasrat ka takht-o-taaj ka taalib nahin Ho ata khasta jigar aur aankh de do ashkbaar
Wasta sibtain ka mera gunahon ka marz Door kar deeje khudara aye tabeeb-e-zi-waqar
Fikr-e-naz-e-rooh-o-qabr-o-hashr se bach jaata gar Kaash hota aap ki galiyon ka main gard-o-ghubaar
Aah chhaya hai gunahon ka andhera chaar soo Ho nigah-e-noor mujh par ya Shah-e-Alam Madaar
Kaash yaawa goyi bad-akhlaqi aur be-ja hansi Ki meri sab aadatein chootein mere Parwardigar
Misl-e-bismil main tarapta hi rahoon sarkar kaash! Aap ke gham mein rahoon Aaqa hamesha dil-figaar
Daulat-e-dunya se be-raghbat mujhe kar deejiye Meri haajat se mujhe zaid na karna maal-daar
Ho Madina hi Madina har ghari wird-e-zabaan Bas Madina hi ki ho takraar lab par baar baar
Gumbad-e-Khizra ki thandi thandi chhaon mein mira Khatima bil-khair ho aye kaash! mere Kirdgaar
Aye mere Aaqa azizon ne jise thukra diya Us ko qadmon se laga lo ghamzadon ke ghamgusaar
Arsa-e-mehshar mein Aaqa laaj rakhna aap hi Daaman-e-Attar hai sarkar be-had daghdaar