Ya Nabi ham gunahgaron ko dard-e-firaqat se ab jala dena Umati hain tumhare Shah-e-Umam sabz-e-gunbad humein dikha dena
Khak-e Tayyiba mile-lahd ke liye kaali kamli mile kafn ke liye Was-ta aap ke nawason ka aisi qismat meri bana dena
Door reh kar tumhari chaukhat se ashk ankhon se behte hain Aas hum bhi lagaaye baithay hain deed ki pyaas ab bujha dena
Aap nabiyon mein sab se aala hain khatam-e aap par nubuwat hai Hum faqiron ko ya Rasool Allah apni chaukhat ka aasra dena
Laaj rakhna Shah-e-zaman meri iltijaaye ye qalb-e-ashrat ki Meri hasti ko khak-e Tayyiba mein Ya Rasool Allah mila dena