Ya Nabi ﷺ bas Madine ka gham chahiye Aur kuch na Khuda azza-wa-jal ki qasam chahiye
Mera seena Madinah bana dijiye Chaak-e-qalb-o-jigar chashm-e-nam chahiye
Bas Madine ki yaadon mein khoya rahoon Fikr aisi Shah-e-mohtaram ﷺ chahiye
Bas tere ﷺ gham mein har dam mein rota rahoon Aisa gham Tajdar-e-Haram ﷺ chahiye
Taj-e-shahi na do baadshahi na do Bas tumhari nigah-e-karam chahiye
Mere jeene ka saaman hai bas yehi Tera lutf-o-karam dam-ba-dam chahiye
Aatish-e-shauq har dam bhadakti rahe Mujh ko gham Ya Nabi ﷺ tera gham chahiye
Jaan-ba-lab ke sarhaane chale aaiye Jaam-e-deedar Shah-e-Haram ﷺ chahiye
Tere qadmon mein maut tere qadmon mein maut Aye Shahanshah-e-Arab-o-Ajam ﷺ chahiye
De do Aaqa ﷺ Baqi-e-Mubarak mujhe Ma'rifat ki tumhare karam se mujhe
Saare deewane Aaqa ﷺ Madine chalein Izn-e-Tayyab ka Shah-e-Umam ﷺ chahiye
Tera sarkar ﷺ hoon garcha badkaar hoon Teri rehmat mujhe har qadam chahiye
Chhodein aadaat-e-bad bhaiyo! maut ka Kuch khayal aap ko kam-az-kam chahiye
Jo bhi Attar ka padh le Aaqa ﷺ kalaam Woh tadap uthay aisa qalam chahiye
Gar woh farmayein Attar kya chahiye? Main kahoon ga ''Madine ka gham'' chahiye