Ya Mustafa ata ho ab izn, haziri ka Karloon nazara aakar main Aap ki gali ka
Ik baar to dikha do Ramzan mein Madinah Beshak banalo Aaqa mehman do ghari ka
Rota hua main aaun daagh-e-jigar dikhaun Afsana bhi sunaun main apni bekasi ka
Main sabz sabz gumbad ki dekh loon baharein Ab izn dedo Aaqa tum mujh ko haziri ka
Maula gham-e-Madinah dede gham-e-Madinah Deewana Tu bana de mujh ko Tere Nabi ka
Khoon-e-jigar se seencha hai baagh-e-Sunniyat ka Kardo karam waseela us Madani Murshidi ka
Ya Sayyid-e-Madinah! bas Aap hi nibhâna Go hoon bada kameena par hoon to Aap hi ka
Ya Mustafa! gunahon ki aadatein nikalo Jazba mujhe ata ho sunnat ki pairvi ka
Hoon door ab balayein deta hoon wasita main Mazloom-e-Karbala ki Sarkar! bekasi ka
Allah! hubb-e-dunya se Tu mujhe bachana Sail hoon Ya Khuda main ishq-e-Muhammadi ka
Fakhr-o-ghuroor se Tu Maula mujhe bachana Ya Rabb! mujhe bana de paikar Tu aajizi ka
Iman pe Rabb-e-Rehmat dede Tu istiqamat Deta hoon wasita main Tujh ko Tere Nabi ka
Ho har nafas Madinah dhadkan mein ho Madinah Jab tak na saans toote Sarkar zindagi ka
Dunya ke taajdaro! tum se mujhe garaz kya! Mangta hoon main to mangta Sarkar ki gali ka
Allah! is se pehle iman pe maut dede Nuqsan mere sabab se ho sunnat-e-Nabi ka
Ulfat ki bheek dedo deta hoon wasita main Siddiq ka Umar ka Usman ka Ali ka
Kuch nekiyan kamale jald akhirat banale Koi nahi bharosa ae bhai! zindagi ka
Mizan pe sab khade hain aamal tul rahe hain Rakh lo bharam Khudara! Attar Qadri ka