Ya Khuda! Hajj pe bula aake main Kaaba dekhun Kaash! Ik baar main phir meetha Madinah dekhun
Phir muyassar ho mujhe kaash! Wuqoof-e-Arafat Jalwah main Muzdalifah aur Mina ka dekhun
Jhoom kar khoob karoon khan-e-Kaaba ka tawaaf Phir Madine ko chaloon Gumbad-e-Khazra dekhun
Sabz gumbad ka haseen jalwah dikha de Ya Rab Masjid-e-Nabwi ka pur-noor manarah dekhun
Rauza-e-Paak ke saaye mein bula kar Aaqa Aankh de dijiye main Aap ka jalwah dekhun
Choom loon kaash! nigahon se sunahri jaali Ashkbaar aankh se mimbar ka bhi jalwah dekhun
Kaash! woh aankh ata ho main Madine aa kar Jis taraf jaaun udhar noor barasta dekhun
Jaam-e-ishq aisa pila dijiye Jaan-e-Aalam Har ghari aahein bharoon khud ko tarapta dekhun
Chashm-e-tar soz-e-jigar dijiye qalb-e-muztar Ishq mein rota rahoon jab bhi main Rauza dekhun
Sozish-e-ishq mein jalta hi rahoon main har dam Aankh se gham mein tere khoon barasta dekhun
Us pe rashk aata hai aur pyaar bahut aata hai Ishq mein tere jise rota bilakta dekhun
Kaash! main rone lagoon qalb bhi ho mera udaas Jab Madine ki taraf qaafilah jaata dekhun
Zairo! kehna yeh ro ro ke Shaha! ik maskeen Keh raha tha yeh tarap kar: ’’Main Madinah dekhun‘‘
Tu jo chahe to meri aankh se parde utthein Main watan se bhi Madine ka nazara dekhun
Woh khilate hain pilate hain nibhate bhi hain Kyun kahin jaaun kisi aur taraf kya dekhun
Apni rahmat se mujhe kar do ata aisi bahaar Munh kabhi bhi na khazan ka mere Aaqa dekhun
Tere ehsaan karoron hain ho yeh bhi ehsaan Ya Khuda naz' mein jalwah main Nabi ka dekhun
Baagh-e-Jannat mein jawaar apna ata farma do Khuld mein har ghari jalwah main tumhara dekhun
Daur kar qadmon mein Attar giroon main us dam Hashr mein jis ghari Sarkaar ko aata dekhun