Woh shama-e-ujala jis ne kiya chalis baras tak gharon mein Ek roz chamakne wali thi sab dunya ke darbaron mein
Gar arz-o-sama ki mehfil mein ''Lau laka lamma'' ka shor na ho Yeh rang na ho gulzaron mein, yeh noor na ho sayyaron mein
Jo falsafiyon se khul na saka jo nukta-waron se hal na hua Woh raaz ek kamli wale ne batla diya chand isharon mein
Abu Bakr-o-Umar Usman-o-Ali hain kirnein ek hi mash'al ki Hum martaba hain yaran-e-Nabi kuch farq nahi in charon mein
Woh jins nahi iman jise le aayein dukan-e-falsafa se Dhoonde se milegi aaqil ko yeh Quran ke siparon mein