Woh rif'at-e-khayal, woh husn-e-bayaan nahin Jo kuch kaha, Huzoor ke shayaan-e-shaan nahin
Un ka maqaam samjhay aur izhaar bhi karay Woh dil nahin, woh aankh nahin, woh zabaan nahin
Paas-e-adab hai shart mata'a-e-hunar ke saath Yeh koocha-e-Habib hai, koo-e-butaan nahin
Sarkar-e-do jahaan sa koi kaainaat mein nahin Mushfiq nahin, rafeeq nahin, meharbaan nahin
Woh husn, jis se mehro mah-e-aasman khajal Woh saadgi, ke jis ka badal do jahaan mein
Kirdar woh ke apnay paraaye ameen kahein Guftaar woh ke raib ka wehm-o-gumaan nahin