Woh Nabiyon mein rehmat laqab paane waale Muraadein ghareebon ki bar laane waale
Utar kar Hira se su-e-qaum aaya Aur ik nuskha-e-keemiya saath laaya
Mis-e-khaam ko jis ne kundan banaya Khara aur khota alag kar dikhaya
Arab jis pe qarnon se tha jahl chhaya Palat di bas ik aan mein us ki kaaya
Raha dar na bedey ko mauj-e-bala ka Idhar se udhar phir gaya rukh hawa ka